Saturday, February 4, 2012

Durga Chalisa


II Durga Chalisa  II
************************



************************

Namo Namo Durge Sukh karani,
Namo Namo ambe Dukh harani.

Nirakar hai jyoti tumhari,
Tihun lok pheli ujayari.

Shashi lalat mukh mahavishala,
Netra lal bhrikutee vikarala.

Roop Matu ko adhika suhave,
Daras karat jan ati sukh pave.

Tum sansar shakti laya kina,
Palan hetu anna dhan dina.

Annapurna hui jag pala,
Tumhi adi sundari Bala.

Pralaya kala sab nashan hari,
Tum gauri Shiv-Shankar pyari.

Shiv yogi tumhre guna gaven,
Brahma Vishnu tumhen nit dhyaven.

Roop Saraswati ko tum dhara,
De subuddhi rishi munina ubara.

Dharyo roop Narsimha ko amba,
Pragat bhayin phar kar khamba.

Raksha kari Prahlaad bachayo,
Hiranakush ko swarga pathayo.

Lakshmi roop dharo jag mahin,
Shree Narayan anga samihahin.

Ksheer sindhu men karat vilasa,
Daya Sindhu, deeje man asa.

Hingalaja men tumhin Bhavani,
Mahima amit na jet bakhani.

Matangi Dhoomavati Mata,
Bhuvneshwari bagala sukhdata.

Shree Bhairav lara jog tarani,
Chhinna Bhala bhav dukh nivarani.

Kehari Vahan soh Bhavani,
Langur Veer Chalat agavani.

Kar men khappar khadag viraje,
Jako dekh kal dan bhaje.

Sohe astra aur trishoola,
Jase uthata shatru hiya shoola.

Nagarkot men tumhi virajat,
Tihun lok men danka bajat.

Shumbhu Nishumbhu Danuja tum mare,
Rakta-beeja shankhan samhare.

Mahishasur nripa ati abhimani,
Jehi agha bhar mahi akulani.

Roop karal Kalika dhara,
Sen Sahita tum tin samhara.

Pan garha Santan par jab jab,
Bhayi sahaya Matu tum tab tab.

Amarpuni aru basava loka,
Tava Mahirna sab rahen asoka.

Jwala men hai jyoti tumhari,
Tumhen sada poojen nar nari.

Prem bhakti se Jo yash gave,
Dukh-daridra nikat nahin ave.

Dhyave tumhen jo nar man laee,
Janam-maran tako chuti jaee.

Jogi sur-muni kahat pukari,
Jog na ho bin shakti tumhari.

Shankar Aacharaj tap keenhon,
Kam, krodha jeet sab leenhon.

Nisidin dhyan dharo Shankar ko,
Kahu kal nahini sumiro tum ko.

Shakti roop ko maran na payo,
Shakti gayi tab man pachitayo.

Sharnagat hui keerti bakhani,
Jai jai jai Jagdamb Bhavani.

Bhayi prasanna Aadi Jagdamba,
Dayi shakti nahin keen vilamba.

Mokon Matu kashta ati ghero,
Tum bin kaun hare dukh mero.

Aasha trishna nipat sataven,
Moh madadik sab binsaven.

Shatru nash keeje Maharani,
Sumiron ekachita tumhen Bhavani.

Karo kripa Hey Matu dayala,
Riddhi-Siddhi de karahu nihala.

Jab lagi jiyoon daya phal paoon,
Tumhro yash men sada sunaoon.

Durga Chalisa jo gave,
Sab sukh bhog parampad pave.


* ramu rasa

0 comments:

Post a Comment